ab dard ka suraj kabhi dhalta hi nahin hai ab dil koi pahlu ho sambhalta hi nahin hai bechain kiye rahti hai jis ki talab-e-did ab baam pe wo chand nikalta hi nahin hai ek umr se duniya ka hai bas ek hi aalam ye kya ki falak rang badalta hi nahin hai nakaam raha un ki nigahon ka fusun bhi is waqt to jadu koi chalta hi nahin hai jazbe ki kadi dhup ho to kya nahin mumkin ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai