DhunDte ho jise dafinon mein

dhundte ho jise dafinon mein
wahi wahshi hai sab ke sinon mein

mere qabil ki riwayat hain
purze jitne bhi hain mashinon mein

subh-dam phir se bant di kis ne
tirgi shahr ke makinon mein

bhuk boi gai hai ab ke baras
dant ug aae hain zaminon mein

zindagi ganw ki hasin ladki
ghir gai hai tamash-binon mein

kis musafir ki baat karte ho
ab to tufan hain safinon mein

kis mashaqqat ke sans leta hun
ye ghazal bhi hui mahinon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close