ab darmiyan koi bhi shikayat nahin bachi yani qarib aane ki surat nahin bachi ab aur koi sadma nahin jhel sakta main ab aur meri aankhon mein hairat nahin bachi khamoshiyon ne apna asar kar diya shurua ab rishte ko sada ki zarurat nahin bachi har samt sirf baat mohabbat ki hai rawan yani jahan mein aaj mohabbat nahin bachi fursat ke waqt ishq se mahrum main raha phir aisa waqt aaya ki fursat nahin bachi