ai abr-e-iltifat tera e'tibar phir aankhon mein phir wo pyas wahi intizar phir rakhkhun kahan pe panw badhaun kidhar qadam rakhsh-e-khayal aaj hai be-ikhtiyar phir dast-e-junun-o-panja-e-wahshat chihaar-samt be-barg-o-bar hone lagi hai bahaar phir paspaiyon ne gad diye dant pusht par yun daman-e-ghurur hua tar tar phir nishtar teri zaban hi nahin khamshi bhi hai kuchh rah-guzar-e-rabt hui khar-zar phir mujh mein koi sawal tere ma-siwa nahin mujh mein yahi sawal hua ek bar phir