ab kaise rafu pairahan ho is aawara diwane ka

ab kaise rafu pairahan ho is aawara diwane ka
kya jaane gareban hoga kahan daman se bada virane ka

waiz na sunega saqi ki lalach hai use paimane ka
mujh se hon agar aisi baaten main nam na lun maikhane ka

kya jaane kahega kya aa kar hai daur yahan paimane ka
allah kare waiz ko kabhi rasta na mile maikhane ka

turbat se laga karta mahshar sunte hain koi milta hi nahin
manzil hai badi aabaadi ki rasta hai bada virane ka

jannat mein piyega kyunkar ai shaikh yahan gar mashq na ki
ab mane na mane teri khushi hai kaam mera samjhane ka

ji chaha jahan par ro diya hai panw mein chubhe aur tut gae
kharon ne bhi dil mein soch liya hai kaun yahan diwane ka

hain tang teri mai-kash saqi ye padh ke namaz aata hai yahin
ya shaikh ki tauba tudwa de ya waqt badal maikhane ka

har subh ko aah sar se dil-e-shadab jarahat rahta hai
gar yun hi rahegi baad-e-sahar ye phul nahin murjhane ka

bahke hue waiz se mil kar kyun baithe hue ho mai-khwaro
gar tod de ye sab jam-o-subu kya kar loge diwane ka

ahbab ye tum kahte ho baja wo bazm-e-adu mein baithe hain
wo aaen na aaen un ki khushi charcha to karo mar jaane ka

us waqt khulega his ko bhi ehsas-e-mohabbat hai ki nahin
jab shama sar-e-mahfil ro kar munh dekhegi parwane ka

baadal ke andhere mein chhup kar maikhane mein aa baitha hai
gar chandni ho jaegi 'qamar' ye shaikh nahin phir jaane ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close