ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai yani kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai kahte hain wo ki jazba-e-dil ab fareb hai jab dil gaya to dil ki karamat bhi gai jo kuchh kiya wo tu ne kiya iztirab-e-shauq sau aafaten bhi aain meri baat bhi gai dastar aap ki jo hui rehn-e-mai-kada tauba hamari qibla-e-hajat bhi gai wade ki kaun raat qayamat ka din nahin aasar-e-subh kahte hain ye raat bhi gai mana ki din sidhaare 'mubarak' shabab ke rangin tabiaton se mulaqat bhi gai