chaudhwan us chandar ka sal hua husn mein badr ba-kamal hua tujh sa chanchal nahin zamane mein ram mein ai man hiran ghazal hua bagh-e-dil mein tu nakhl-e-tuba hai sarw tujh qad se paemal hua raat din tu rahe raqiban-sang dekhna tera mujh muhaal hua dekh kar tujh nayan ki shokhi kun thak ke sahra-nashin ghazal hua murgh-e-dil ke phansane ko mere dana-o-dam zulf o khal hua zulf ki har shikan mein tujh mera dil giraftar baal baal hua