ab koi rah bhi aasan nahin dekhne mein

ab koi rah bhi aasan nahin dekhne mein
dekhte rahte hain aur dhyan nahin dekhne mein

kitni viran nazar aati hai ta-hadd-e-nazar
yahi duniya ki jo viran nahin dekhne mein

khali tanhai khazanon se bhari rahti hai
aur yahan koi bhi saman nahin dekhne mein

in dinon fursat-e-tabir kahan mumkin hai
in dinon khwab bhi aasan nahin dekhne mein

waise to hijr mein us ko bhi nahin koi malal
waise to main bhi pareshan nahin dekhne mein

sare kamron mein koi ret udati hai mujhe
ye mera ghar ki bayaban nahin dekhne mein

ek nazar su-e-malamat bhi agar dekha karen
main samajhta hun ki nuqsan nahin dekhne mein

us jagah bhi koi imkan nikal aata hai
jis jagah koi bhi imkan nahin dekhne mein

itna hairan raha hun to bana hun aisa
main wo ek shakhs ki hairan nahin dekhne mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close