ab kya bataun shahr ye kaisa laga mujhe har shakhs apne khun ka pyasa laga mujhe khafgi ho ya jafaen hon ya mehrbaniyan har rang chashm-e-naz ka achchha laga mujhe dekha jo ghaur se to wo jhonka hawa ka tha tum khud hi chham se aai ho aisa laga mujhe wo shakhs jis se pahle kabhi aashna na tha nazdik se jo dekha to apna laga mujhe yun bhi milegi manzil-e-jaanan yaqin na tha wo samne the phir bhi ek sapna laga mujhe