abhi niklo na ghar se tang aa ke

abhi niklo na ghar se tang aa ke
abhi achchhe nahin tewar hawa ke

falak se main chala shabnam ki surat
zamin ne rakh diya patthar bana ke

mere zakhmi labon par kuchh nahin hai
siwae ek lafz-e-be-nawa ke

hamari khamushi ne laj rakh li
nahin to hath kat jae sada ke

badan khushbu ka larzan khauf se hai
hawa ko raaz-e-dil apna suna ke

saron ke dip hain nezon pe raushan
main kaise dekhun manzar karbala ke

tumhaare qatl ki khabren chhapi hain
'firaq' akhbar to dekho utha ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close