ab se pahle wo meri zat pe tari to na tha

ab se pahle wo meri zat pe tari to na tha
dil mein rahta tha magar khun mein jari to na tha

nabz chalti hai to qadmon ki sada aati hai
is qadar zakhm-e-judai kabhi kari to na tha

wo to baadal ka barasna hai anasir ka usul
warna ashkon ka namak aankh pe bhaari to na tha

dil mein khilte hain teri yaad ke eajaz se phul
is mein kuchh shaiba-e-baad-e-bahaari to na tha

ye bhi andar ka koi rog hai warna hum ko
umr-bhar hausla-e-nala-o-zari to na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close