abru-e-abr se karta hai ishaara mujh ko jhalak us aankh ki dikhla ke sitara mujh ko hun main wo shama sar-e-taq jala kar sar-e-sham bhul jata hai mera anjuman-ara mujh ko raegan wusat-e-viran mein ye khilte hue phul un ko dekhun to ye dete hain sahaara mujh ko meri hasti hai faqat mauj-e-hawa naqsh-e-habab koi dam aur karen aap gawara mujh ko dam phailati rahi sud-o-ziyan ki ye bisat han magar mere junun ne nahin haara mujh ko kuchh shab-o-roz-o-mah-o-sal guzar kar mujh par waqt ne ta-ba-abad khud pe guzara mujh ko mauj-e-be-tab hun main mere anasir hain kuchh aur chahiye sohbat-e-sahil se kinara mujh ko rizq se mere mere dil ko hai ranjish 'khurshid' aasmanon se zaminon pe utara mujh ko