ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye

ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye
bol ai hawa-e-shahr kidhar jaana chahiye

kab tak isi ko aakhiri manzil kahenge hum
ku-e-murad se bhi udhar jaana chahiye

wo waqt aa gaya hai ki sahil ko chhod kar
gahre samundaron mein utar jaana chahiye

ab raftagan ki baat nahin karwan ki hai
jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye

kuchh to subut-e-khun-e-tamanna kahin mile
hai dil tahi to aankh ko bhar jaana chahiye

ya apni khwahishon ko muqaddas na jaante
ya khwahishon ke sath hi mar jaana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close