ab wo agla sa iltifat nahin jis pe bhule the hum wo baat nahin mujh ko tum se e'timad-e-wafa tum ko mujh se par iltifat nahin ranj kya kya hain ek jaan ke sath zindagi maut hai hayat nahin yunhi guzre to sahl hai lekin fursat-e-gham ko bhi sabaat nahin koi dil-soz ho to kije bayan sarsari dil ki wardat nahin zarra zarra hai mazhar-e-khurshid jag ai aankh din hai raat nahin qais ho kohkan ho ya 'haali' aashiqi kuchh kisi ki zat nahin