barson koi hamare liye jism-o-jaan raha

barson koi hamare liye jism-o-jaan raha
lekin wo ab fareb ka aalam kahan raha

aise bhi raston se guzarna pada ki bas
wo bad-guman rahe kabhi main bad-guman raha

haalat ne mita diye mazi ke sab nuqush
ek nam tha jo mit ke bhi wird-e-zaban raha

dhundle se kuchh nishan hain ghataon ke dhyan mein
ab wo rahe na dur na pir-e-mughan raha

'asi' diya hai jis ne zamane mein apna haq
raushan usi ka dahr mein nam-o-nishan raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close