ab wo pahle se mehr-o-mah nahin

ab wo pahle se mehr-o-mah nahin
koi aasuda-e-nigah nahin

jo bhi nikla tumhaari mahfil se
us ko duniya mein phir panah nahin

ishq ka dard phir bura kiya hai
maut lazim hai ishtibah nahin

zindagi hi gunah jab thahri
zindagi mein koi gunah nahin

dushmanon se to hai hazar mumkin
doston se kahin panah nahin

tum agar markaz-e-tamanna ho
phir tamanna koi gunah nahin

ek jhalak un ki dekh li 'ehsas'
ab koi markaz-e-nigah nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close