ab yahan logon ke dukh-sukh ka pata kya aae band hon ghar to makinon ki sada kya aae dubte din ki jilau mein na sukun hai na faragh shafaq-e-sham se chehron pe ziya kya aae sard sinon mein panapte hi nahin dard ke bij in kharabon pe barasne ko ghata kya aae dur ho kaise tere jism teri jaan ki ghutan tang be-rauzan-o-dar ghar mein hawa kya aae kho chuke lutf-e-sahar-khezi garan khwab-e-makin subh-dam band darichon mein saba kya aae khushk patte hain ki jhadte hi nahin pedon se kaise tabdil ho rut rang naya kya aae garm hangama kare kaun ragon mein 'shahin' khushk nadiyon mein koi mauj-e-bala kya aae