lahu-luhan sa manzar hamari aankh mein hai hamara jalta hua ghar hamari aankh mein hai fasad mein jo tabahi hui hamare yahan usi ka aaj bhi ek dar hamari aankh mein hai hamari samt uchhaala gaya tha jo ek din lahu se surkh wo patthar hamari aankh mein hai nizam hind ka bigda hai jab se ai 'ahsan' tabhi se surkh samundar hamari aankh mein hai use na chhin saka koi mujh se ai 'ahsan' ubharta dubta akhtar hamari aankh mein hai