ab ye aankhen kisi taskin se tabinda nahin main ne rafta se ye jaana hai ki aainda nahin tere dil mein koi gham mera numainda nahin aagahi teri mizha par abhi rakhshanda nahin dil-e-viran dam-e-isa hai gae waqt ki yaad kaun sa lamha-e-rafta hai ki phir zinda nahin tu bhi chahe to na aaegi wo biti hui raat hai wahi chand magar waisa darakhshinda nahin abr-e-awara se mujh ko hai wafa ki ummid barq-e-betab se shikwa hai ki painda nahin kabhi ghunche ko mahakne se koi rok saka shauq agar hai to phir izhaar se sharminda nahin