ai dil-nashin talash teri ku-ba-ku na thi apne se ek farar tha wo justuju na thi izhaar na-rasa sahi wo surat-e-jamal aaina-e-khayal mein bhi hu-ba-hu na thi kya sehr tha ki hanste hue jaan de gae wo bhi ki jin ko tab-e-gham-e-arzu na thi kya jaane ahl-e-bazm ne kya kya samajh liya ikhfa-e-arzu thi wo chup guftugu na thi wo kaun si sahar thi ki roi na phul phul wo sham kaun si thi ki gham se lahu na thi hum to farefta the 'ziya' dil ki aanch par manzur mahz dilkashi-e-rang-o-bu na thi