abhi is fikr se nikla nahin hun main kya hun aur aakhir kya nahin hun mujhe tum mere mausam hi mein padhna nisab-e-nasl-e-ainda nahin hun wafadari kinaron se jo badle main dariyaon ka wo rasta nahin hun jo dil ki dhadkanon ki ham-nawa hai usi aawaz par palta nahin hun bahut se masale hain zindagi mein magar tujh ko to main bhula nahin hun main teri dastaras mein to nahin tha tere imkan mein bhi kya nahin hun bahut socha tere nazdik aa kar main tere pas hun bhi ya nahin hun jo duniya tujh se waqif hi nahin hai main us duniya ka bashinda nahin hun