abhi ranj-e-safar ki ibtida hai

abhi ranj-e-safar ki ibtida hai
abhi se ji bahut ghabra raha hai

diye bujhne lage hain taqchon mein
har ek shai par andhera chha raha hai

hawa shakhon mein chhup kar ro rahi hai
na jaane kaisa mausam aa raha hai

thithurti rut mein zakhmi ungliyon se
hamein dariya mein sona dhundhna hai

isi ummid par ban-bas katen
hamein bhi ek din ghar lautna hai

bahut chahun ki main bhi hath uthaun
mere honton pe lekin bad-dua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close