abhi surur-e-jam hai to hosh hai qarar hai ye wahshaton ka daur hai na ishq hai na pyar hai wo laut aaega agar udan khatm ho gai abhi to aasman mein hai abhi to dhun sawar hai bhatak rahi hai ruh kyon kabhi nahin laga tumhein chukana baqi rah gaya jo jism ka udhaar hai lo mil gaya na khak mein ye hashr hai sharir ka wo chaar inten dekh lo wo meri hi mazar hai use kaha bhi jae kya abhi nahin sunega wo naya naya sa shauq hai naya naya sa pyar hai