tumne hamara sath diya to KHud ko hum pa jaenge

tum ne hamara sath diya to khud ko hum pa jaenge
warna apni zat se hamdam phir dhoka kha jaenge

kadi dhup mein hum le aae apne komal giton ko
un ke phul se chehre dekhen dhup mein kumhla jaenge

aankhen mund ke chalne wale dhun ke pakke nikle to
chalte chalte ek din aakhir manzil ko pa jaenge

kaun hawaon ke par bandhe kaun hamara rasta roke
aag ka dariya hoga to bhi tair ke hum aa jaenge

danai ke shahr ke basi pagal-pan ke jangal mein
jangal walo aankh bacha kar aag si bhadka jaenge

man ki aankh khule to samjho nur ka zina chadhna hai
warna tan ki aankh ke shishe dhup mein dhundla jaenge

dard-hawa ka pichha karna sab ke bas ki baat nahin
apna pichha karte karte dost bhi ukta jaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close