abhi tak jab hamein jina na aaya bharosa kya ki kal aaya na aaya jale hum yun ki jaise chob-e-nam hon charaghon ki tarah jalna na aaya ghulelen la ke bachche puchhte hain parinda kyun wo dobara na aaya main kya kahta ki sab ke sath mein tha ayaadat ko bhi wo tanha na aaya ihata chahaar-diwari andhera kisi jaanib bhi darwaza na aaya wo pahle ki tarah bichhda hai ab bhi magar ab ke hamein rona na aaya khazana le uda choron ka jattha palat kar phir ali-baba na aaya