ai sukhnawar tarah guman hun main ya faqat harf-e-raegan hun main aks jal bujh gae bujha chehra aaine se utha dhuan hun main hai mayassar mata-e-tishna-labi khushk dariya ka pasban hun main aag se bair dhup bhi hai adu aur ek mom ka makan hun main mushtarak hum mein hijraton ki thakan titliyon ka mizaj-dan hun main tajarbe ki ghaneri chhanw liye ek kohna sa saeban hun main kab mita de mujhe hawa ki lakir rah-rau ret par nishan hun main kal mera wasf tha tariq-e-suluk aaj be-nam be-nishan hun main shahr mein harf-e-ashna hi nahin faiz kya lafz be-karan hun main jo haqiqat the wo gae 'sabir' ek mauhum dastan hun main