abhi to faisla baqi hai sham hone de

abhi to faisla baqi hai sham hone de
sahar ki ot mein mahtab-e-jaan ko rone de

teri nazar ke ishaare na raushni ban jaen
to phir ye raat kahan jugnuon ko sone de

bahut hua to hawaon ke sath ro lunga
abhi to zid hai mujhe kashtiyan dubone de

hamare baad bhi kaam aaegi junun ki aag
ye aag zinda hai is ko na sard hone de

sadi se mangegi agli sadi hisab-e-gunah
mere sarishk ko lamhon ke dagh dhone de

ye gham mera hai to phir ghair se ilaqa kya
mujhe hi apni tamanna ka bar dhone de

babul sabz hai bandhe hisar-e-naz 'ajmal'
mujhe bhi apni zamin mein chinar bone de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close