dard ki nili ragen yaadon mein jalne ke sabab

dard ki nili ragen yaadon mein jalne ke sabab
sari chikhen rok leti hain sambhalne ke sabab

dard ki nili ragen to shor karti hain bahut
paikar-e-nazuk mein is dil ke machalne ke sabab

dard ki nili ragen barfab bistar mein padi
tut jati hain tere khwabon mein chalne ke sabab

dard ki nili ragen umron ke nile pher ko
zard karti jati hain sahra mein palne ke sabab

dard ki nili ragen hathon mein do-shizaon ke
chudiyan tak tod deti hain bikharne ke sabab

dard ki nili ragen thandi hawa se ashk-rez
surkh hoti rahti hain aansu nigalne ke sabab

dard ki nili ragen 'nainan' samundar ban gain
hijr ki raaton ka pahla chand dhalne ke sabab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close