abr ka mahtab ka bhi tha ek zamana sharab ka bhi tha kuchh tabiat bhi apni mail thi kuchh jhamela shabab ka bhi tha raat-bhar teri chandni aur din yaad ke aaftab ka bhi tha teri shohrat ke khas rangon mein ek mere intikhab ka bhi tha chandni mein tere badan ka nikhaar husn kuchh mahtab ka bhi tha mausam-e-wasl teri zulfon mein aastana gulab ka bhi tha kuchh mere shauq ki tajalli thi kuchh sarakna naqab ka bhi tha tund lahron se kya shikayat ho jism nazuk habab ka bhi tha umr zindan-e-jabr mein guzri aur abhi din hisab ka bhi tha kuchh tera intizar tha aur kuchh mai-e-gul rang-o-nab ka bhi tha ye saza-o-jaza ki baat na thi dar sawal-o-jawab ka bhi tha tum agar dhundte tah-e-dil tak rasta inqalab ka bhi tha jis mein tum bas gae kabhi wo ghar dil-e-khana-kharab ka bhi tha hum to thahre kashida-sar lekin hukm-e-hakim itab ka bhi tha waqt ke chor-aine mein 'munir' aks chashm-e-pur-ab ka bhi tha