achchha hai un se koi taqaza kiya na jae apni nazar mein aap ko ruswa kiya na jae hum hain tera khayal hai tera jamal hai ek pal bhi apne aap ko tanha kiya na jae uthne ko uth to jaen teri anjuman se hum par teri anjuman ko bhi suna kiya na jae un ki rawish juda hai hamari rawish juda hum se to baat baat pe jhagda kiya na jae har-chand e'tibar mein dhoke bhi hain magar ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jae lahja bana ke baat karen un ke samne hum se to is tarah ka tamasha kiya na jae inam ho khitab ho waise mile kahan jab tak sifarishon ko ikattha kiya na jae is waqt hum se puchh na gham rozgar ke hum se har ek ghunt ko kadwa kiya na jae