suno jab ghaib ka par jagta hai

suno jab ghaib ka par jagta hai
hawaon ka samundar jagta hai

sabhon mein jis ne ki taqsim ninden
khuda hai jo barabar jagta hai

agarche bujh chuki hai meri hairat
magar ab bhi wo manzar jagta hai

badi dilchasp hoti hai kahani
main sota hun to bistar jagta hai

kisi din mar dunga aaine par
jo mujh mein ek patthar jagta hai

yaqin jitni bhi gahri nind mein ho
koi waswas andar jagta hai

chadhao chadaren soe huon par
ye karne se muqaddar jagta hai

hum us ghar ki hifazat kar rahe hain
mere sote hi jhengur jagta hai

muqaddam kaun hai ye baat chhodo
wajudon mein bhi jauhar jagta hai

chhupi baithi hai sahraon mein shabnam
kahin kheton mein banjar jagta hai

mujhe chhuti hai wo 'aswad' samajh kar
badan mein jis ke marmar jagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close