achchhe lafzon se nawaze ya wo ruswai kare

achchhe lafzon se nawaze ya wo ruswai kare
us ko haq hai ki burai kare achchhai kare

pyar to soch ki diwar hila deta hai
kaun is zehn ke dushman se shanasai kare

hath se hath jhatak de ki use thame rakhe
us ko aazadi hai jab chahe wo ji aai kare

kya khabar khud ko hi ab bechna pad jae yahan
kis ko malum sitam kaise ye mahngai kare

karb zanjir ki manind jakad leta hai
bhai ko sahna hi padta hai agar bhai kare

main ne zehnon se qadamat ko khurach dala he
shahr ka shahr mere dar pe jabin-sai kare

pyar ruhon mein kashish ban ki dhadakta hai 'niyaz'
ye wo jazba hai jo pal-bhar mein shanasai kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close