hunar-mandi se jine ka hunar ab tak nahin aaya

hunar-mandi se jine ka hunar ab tak nahin aaya
safar karte rahe tarz-e-safar ab tak nahin aaya

ghalat hai tere ashkon mein asar ab tak nahin aaya
tujhe rona ai meri chashm-e-tar ab tak nahin aaya

hazaron falsafi qabza kiye baithe hain zehnon par
mere qabu mein ya-rab mera sar ab tak nahin aaya

pada rahta hai har dam khauf ka saya rag-e-jaan par
koi be-khauf lamha be-khatar ab tak nahin aaya

hamare sar pe hai saya-fagan ummid ka suraj
hamari rah mein koi shajar ab tak nahin aaya

hamein to qafiya-paimai karna bhi nahin aata
bada fan hai jo aa jata magar ab tak nahin aaya

wo kahte hain duaen ba-asar hoti hain 'khalid' ki
main kahta hun koi zer-e-asar ab tak nahin aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close