agar mohabbat ke muddai ho to ye rawayya rawa nahin hai jo shikwa hai ru-ba-ru nahin hai jo baat hai barmala nahin hai ye roz-e-tajdid-e-ahd-e-ulfat ye roz paiman-e-dil-nawazi hazar taslim kar raha hun magar yaqin-e-wafa nahin hai hai tere kafir-shabab se khub meri masum mai-gusari surur ki ek had hai qaem ghurur ki intiha nahin hai ajab nahin zahmat-e-wafa se mujhe kisi din najat de de yahi meri be-zaban mohabbat jo dar-khur-e-e'tina nahin hai na jaane kis kis se dil laga kar wafa se mayus ho chuka hun nazar pareshan-e-shash-jihat hai koi bhi dard-ashna nahin hai jata ke majburi-e-mohabbat umid-e-mehr-o-wafa ke mani main khud hun apna sukun-e-dushman kisi ki koi khata nahin hai baja baja be-shumar aariz nazar nazar ko taras rahe hain magar ye dil ka moamla hai nigah ka wasta nahin hai