agar safar mein mere sath mera yar chale tawaf karta hua mausam-e-bahaar chale laga ke waqt ko thokar jo khaksar chale yaqin ke qafile hamrah be-shumar chale nawazna hai to phir is tarah nawaz mujhe ki mere baad mera zikr bar bar chale ye jism kya hai koi pairahan udhaar ka hai yahin sambhaal ke pahna yahin utar chale ye jugnuon se bhara aasman jahan tak hai wahan talak teri nazron ka eqtidar chale yahi to ek tamanna hai is musafir ki jo tum nahin to safar mein tumhaara pyar chale