har dua hogi be-asar na samajh aaj nahaq hai aankh tar na samajh zist mushkil sahi magar ai dost maut aasan rahguzar na samajh hausla rakh tu rahraw-e-manzil thak ke raste ko apna ghar na samajh pujta hun main pattharon ke sanam mere dil mein hai koi dar na samajh ja-ba-ja sun tu meri sargoshi main faza mein hun muntashir na samajh jin charaghon ki lau bahut kam hai un charaghon ko mo'atabar na samajh main tahi-dast muflis-o-nadar tu mujhe dast-e-be-hunar na samajh main hun qail teri parastish ka tujh se mangunga main guhar na samajh teri dastak ka muntazir 'anjum' shahr mein hoga koi dar na samajh