agarche aankh bahut shoKHiyon ki zad mein rahi

agarche aankh bahut shokhiyon ki zad mein rahi
meri nigah hamesha adab ki had mein rahi

samajh saka na koi zindagi ki arzish ko
ye jins-e-khas traazu-e-nek-o-bad mein rahi

bahut buland hua tamkanat se taj-e-shahi
kulah-e-faqr magar nazish-e-namad mein rahi

hamesha dard se aari raha ye zahid-e-khushk
ye nash zinda sada gosha-e-lahad mein rahi

dilon mein baith gaya barhaman ka husn-e-bayan
hadis-e-shaikh tilismat-e-radd-o-kad mein rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close