ahd-e-hazir ek machine aur us ka karinda hun main reza reza ruh meri hai magar zinda hun main main hun wo lamha jo mutthi mein sama sakta nahin pal mein hun imroz-o-mazi pal mein aainda hun main wo jo mujh ko phenk aae bhediyon ke samne kya gila-shikwa ki un se aap sharminda hun main mere lafzon mein agar tab-o-tawanai nahin ai khuda kyun dahr mein tera numainda hun main main jo kahta hun samajhta hi nahin koi use jaise malbe mein dabi basti ka bashinda hun main mere chehre par munaqqash is tarah tarikh hai jaise ek kohna ajaib ghar ka bashinda hun main khak hun lekin sarapa nur hai mera wajud is zamin par chand suraj ka numainda hun main is jahan mein main hi masjud-e-malaik tha 'sadid' is jahan mein aaj ke insan se sharminda hun main