karb kya hai tujhe batata hun dard bo kar main gham ugata hun ek didar ke liye un ki dhul aankhon mein dal aata hun sher kahna bahut hi mushkil hai roz do paw khun jalata hun sirf kuza-gari ka mahir hun sirf murat teri banata hun khun niklega teri aankhon se main tujhe karbala sunata hun hijr kahta hai khun pina hai mas jabki use khilata hun ghaur se sun adu 'sahar'-ji ke din mein tare tujhe dikhata hun