ahl-e-danish ko khabar kya kya hai pagal ka mizaj sang-baron ko hai kab malum ghayal ka mizaj kis taraf se hai guzarna aur barasna hai kahan bas hawaon ko pata rahta hai baadal ka mizaj mere sar par rah ke bhi mujh par na saya kar saka meri qismat se kahan milta hai aanchal ka mizaj tujh ko palkon mein chhupa kar main parastish kar to lun aansuon ke sath bah jata hai kajal ka mizaj jitna bhi chahun nikalna dubti jati hun main teri yaadon mein mila hai mujh ko daldal ka mizaj 'mina' sadiyan aain aur tarikh ban kar rah gain lamha lamha jaanta hai mere har pal ka mizaj