ai gham-e-dost tera wo hi sahaara hoga

ai gham-e-dost tera wo hi sahaara hoga
be-khabar rah ke tujhe jis ne bulaya hoga

apne aangan mein abhi tak wo bhatakta hoga
naqsh-e-pa aap ka jis ne bhi mitaya hoga

apne mazi ke kuchh auraq ulat kar dekho
koi to hoga jo ab tak wahin thahra hoga

ye samajh kar hi chhupa rakha hai aankhon mein use
aap ka aks magar aap se pyara hoga

ab bhi sine mein liye aag mein jalti hun nadim
ek na ek din mere ghar mein bhi ujala hoga

meri barbaad tamannaon pe hansne wala
apni palkon ko bhi kuchh der bhigoya hoga

'naz' behtar to yahi hai ki ghar ab laut chalen
kya khabar koi sar-e-sham hi aaya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close