ai husn zamane ke tewar bhi to samjha kar ab zulm se baz aa ja ab jaur se tauba kar tute hue paimane bekar sahi lekin mai-khane se ai saqi bahar to na phenka kar jalwa ho to jalwa ho parda ho to parda ho tauhin-e-tajalli hai chilman se na jhanka kar arbab-e-junun mein hain kuchh ahl-e-khirad shamil har ek musafir se manzil ko na puchha kar