ai khuda kaisa saman aaya hai shahr mein har su dhuan chhaya hai lut gai khalq-e-khuda ki hasrat ahd-e-nau aisa ziyan laya hai hijr ke dasht mein yaksar main ne gham ke dariya ko rawan paya hai sirf mujh ko nahin daulat ki talab sab ko darkar yahan maya hai badi mushkil se jahan ko 'shauqi' mera andaz-e-bayan bhaya hai