hamin ne un ki taraf se mana liya dil ko wo karte uzr to ye aur bhi garan hota samajh to ye ki na samjhe khud apna rang-e-junun mizaj ye ki zamana mizaj-dan hota bhari bahaar ke din hain khayal aa hi gaya ujad na jaata to phulon mein aashiyan hota dimagh arsh pe hai tere dar ki thokar se nasib hota jo sajda to main kahan hota