ai mere dil tujhe pata hai kya wo tere gham se aashna hai kya mujh mein matam ka shor kaisa hai mere andar koi mera hai kya sab se hans ke gale jo milta hai shahr mein wo naya naya hai kya zindagi dho ke roz pita hun aur pine ko kuchh bacha hai kya qissa-e-dil raqam karun kaise ishq hai koi saneha hai kya phal koi hath kyun nahin aata qad mein mujh se shajar bada hai kya tujh mein uljha hua main rahta hun tu bata mera masala hai kya kyun mujhe dhundhti hai purwai mere zakhmon se wasta hai kya mujh ko jhuta bata raha hai jo mere andar ka aaina hai kya kaun deta hai dastaken itni gum-shuda koi hadisa hai kya kaise khurshid us ko badloge zindagi koi qafiya hai kya