diye palkon ke sare bujh rahe hain sar-e-shab hi sitare bujh rahe hain in aankhon ne jinhen raushan kiya tha wo sab manzar hamare bujh rahe hain bahut kam ho chali hai aatish-e-khak zamin tere sharare bujh rahe hain siyahat hath mal kar rah gai hai sar-e-sahil shikare bujh rahe hain pae shab sair aaya bhi kahan main jahan sare nazare bujh rahe hain na halchal hai na koi mauj-e-bosa samundar ke kinare bujh rahe hain main yakh-basta hua jata hun 'afsar' mere jazbaat sare bujh rahe hain