ai nish-e-ishq tere kharidar kya hue thi jin ke dam se raunaq-e-bazar kya hue bol ai hawa-e-sham wo bimar kya hue monis tere rafiq tere yar kya hue ai jurm-e-ishq tere gunahgar kya hue ai dost tere hijr ke bimar kya hue rasm-e-wafa ka zikr to ab zikr rah gaya wo paikar-e-wafa wo wafadar kya hue ai kam-shanas waqt tujhe yaad tak nahin wo zakhm-e-jaan-o-dil ke talabgar kya hue kar-e-junun mein jin ke hue aam tazkire fasl-e-junun bata wo khud-azar kya hue josh-o-nadim-o-faiz bhi baithe hain haar ke pahunche the jo junun mein sar-e-dar kya hue zindan-e-tirgi mein muqayyad hain aaj bhi paida hue the subh ke aasar kya hue 'wijdan' aashiqi mein ganwani thi jaan bhi pyare wo tere taur wo atwar kya hue