ai rabb-e-kainat yaqin chahiye hamein jo chahte hain hum wo yahin chahiye hamein ghafil kare jo yaad se teri tamam raat itna sukun bhi to nahin chahiye hamein kab tak hawa ke dosh pe chalte rahenge hum rakhne ko panw kuchh to zamin chahiye hamein andar ki samt hone laga hai safar naya bahar pada hai jo bhi nahin chahiye hamein tare rawan ho jis ke qadam chumte hue 'mansur' aisa khak-nashin chahiye hamein