ai saqi-e-mah-wash gham-e-dauran nahin uthta darwesh ke hujre se ye mehman nahin uthta kahte the ki hai bar-e-do-alam bhi koi chiz dekha hai to ab bar-e-gareban nahin uthta kya mere safine hi ki dariya ko khatak thi kya baat hai ab kyun koi tufan nahin uthta kis naqsh-e-qadam par hai jhuka roz-e-azal se kis wahm mein sajde se bayaban nahin uthta be-himmat-e-mardana masafat nahin katti be-azm-e-musammam qadam aasan nahin uthta yun uthti hain angdai ko wo marmarin banhen jaise ki 'adam' takht-e-sulaiman nahin uthta