teri gali ko chhod ke pagal nahin gaya rassi to jal gai hai magar bal nahin gaya majnun ki tarah chhoda nahin main ne shahr ko yani main hijr katne jangal nahin gaya us ko nazar utha ke zara dekhne to de phir kahna mera jadu agar chal nahin gaya hae wo aankhen tat ko takte hi bujh gain hae wo dil ki jaanib-e-makhmal nahin gaya tere makan ke baad qadam hi nahin uthe tere makan se aage main paidal nahin gaya